Thursday, July 28, 2011

Human

You will be in heart like a scar
prayer will no longer be innocent
…it perhaps never was
perhaps never meant to be
it is a word with meaning
a word in the dictionary
who found no soul in the living
I look at you as a man
You look at me as a woman
I am what is not meant to be
You are that is all to be
You and I are miles apart
I am a caste, you are religion
I am a gender, you are the culture
I am the discarded… borne by the order
Oh man, look at me once
Am I not but what you are
a small grain like you in sand
a withered skin that you wear too
then why am I cast away
why am I shadow in the way
Pray I thee, soothe the blisters

Quench my thirst, I am a human

Nilanjana Som 08/05/2014; 1816


--------------------------------------------------------------

azaadi azaadi azaadi... kya hai aakhir azaadi; terii azaadi meri azaadi; bus aur nahi, bas aur nahi ye azaadi; ekk mithya hai ye azaadi; ek jhoot hai ek fareb hai; wajood mitati dhaar hai, ye azaadi; ki ab bas; bas aur nahi ye azaadi; bikhre pade se sej pe dekho kaanch si tooti meri azaadi, teri azaadi; koyee aks nahi koyee shaks nahi, bas mrig-trishna hai ye azaadi; jitna bhi main udna chahoon, baandhti hai mujhe azaadi; lagta hai kuch kum si hai ye azaadi; dum ghoot-ta hai; rooh chikhta hai khoyee kahin hai azaadi; teri bhi hai, meri bhi hai hasrat bas boond bhar azaadi; ek mithya hai, mrig-trishna hai, chhal-kapat ki azaadi; jab koyee nahi main, jo koyee nahi tu, phir kaisi mukti-azaadi
Nilanjana Som 28/02/2015: 2200


------------------------------------------------------------------

lagta hai abhie toh hatheli pe thii; 
shaayad lakeeron mein mil gayee hogi; 
jab haath ko chehre pe phera; 
woh toh khaali thii; 
na naak, na kaan, na nayan, na honth; 
shaayad maas ka ekk dhela tha; 
haan wohi raha hoga; 
warna kya boo nahi aati; 
cheekhti nahii, 
sannata sunayi nahi deti? 
nahii, haath pe kuchh nahi tha; 
lakeere bhi nahi thi; 
nahi, 
ummeed nahi thi, 
usko toh mare zamana beeta; 
hum toh kabr pe pade chadar se lipte hai, 
koyee daag jaise umr se hai guzre...

Nilanjana Som 28/02/2015: 2220


----------------------------------------------------------------------------

ab mujhe chalna chahiye. bahut der huyee kitaab ko pakde. us me rakha patta bhi ab sukh gaya, panno se khusboo bhi ud gayee. sach kahoon toh ab likhayee bhi dhool gayee hai. magar kagaz kora nahi hai. dhyan se dekho toh kuchh avshesh hai. magar kya, samah nahi ata. magar kuchh toh hai. achcha hi likha hoga. bade buzurgo ne likha hai toh achcha hi hoga. naam toh yaad nahi magar gyani the. mitro toh kehte hai sant-mahapurush the. toh achcha hi hoga. main toh samanya hoon. isko maathe pe rakh leta hoo. barish se bheegoon-ga nahi. boonde giri toh siyahi dhul ke seedha mashtishk me aur lalat me tilak bann jayega. buzurgo ne likha hai toh achcha hi hoga. main toh samanya hoon. isko maathe pe rakh leta hoon...
Nilanjana Som 28/02/2015: 2235


------------------------------------------------------


kisi insaan ko dekha hai?
har roz! wo jo shaks bojha dhoye jaa raha hai
wo hi toh insaan hai
uski, uss gathri me insaniyat ka tam-jham bandha hai
ek ek sabhi bhav samet rakhe hai
maang-o toh jhat inkaal kharch kar deta hai
main yahan khaali liye baithi hoon
meri gatthri kahiin kho gayee hai
use dhoondhte dhoondhte, thak ke kinare pe...
aans liye ki shayad, tinka tinka bheekh me
phir se apni insaaniyat jor loon
ya phir chalo, jeena hi chhod doon
ab ye ehsaas jo huya hai
bande hum jaise, waise hi achche
iss duniya me insaanson ke beech
ye laash hi hai sachche...

Nilanjana Som   03/05/2015    2225


---------------------------------------------------------


zindagi hai ye zindagi
kisi gair ki nahi
apni hai magar kuchh kum si sahi
n[a] jaane kyun phir bhi
hai ghulam ye kahin
lagta hai jaise kisi ki adhin hai abhi
jo bhage is se to sharm kaisi?
koyee ilzaam to nahi
koyee qaid nahi koyee gair bhi nahi
apni hi hai ye zindagi
to phir kyun ruke hum
tere dar pe jhuke hum
teri ijazaat zaroori toh nahi
dil hai mera ab bhaa huya
ankhein hai door tak dekhti
kuch nahi hai samne magar
pao[n] mein zajeerein kaisi?
hoon mein azaad, suna hi sahi
kyun ki zindagi toh apni hi hai "bande"
kisi gair ki to nahi

Nilanjan Som
27/07/2011
2200 hrs