Sunday, January 28, 2007

RANDOMS



Jiwan ke safar mein
Rehguzar kitne mile.
Zingdani tham si gayee.
Umr guzar te liye.
Is khwayeesh mein ki
Aashiyan hamara bhi hoga,
Khwabon ki mehfil mein
Hum, duniya basa liye.

----------------------------------------------------

Zindagi tujhse shikayat nahi hai
Khuda-i-bandagi ijazaat nahi hai
Ruh ko dharma ke emaan se na band
Aap hi se pehle janaat nahi hai.

-------------------------------------------------------


Hum hi se pehle
Hum hi ke baad
Zindagi aur haansi lagiti hai.
Duniya se aage
Aansman ke paar
Ek umr aur baaki lagti hai 
15/ 11/ 06

---------------------------------------------------------------


Umr guzri yun tanha
Zindagi ki band dayaanron mein
Shehar sara virana mila
Khud ko jo dhunda galiyaron mein
Aap rote, kabr pe aapne
Baitth virah, tanhanyion mein
Jaan sake na koye man ko bhed
Ruh paya jo rihayee mein 
09/ 12/ 06

--------------------------------------------------------------------


Woh nahi hai hum,
jo rahe lakiro pe chalte hai.
Hum aam insaan hai bande,
hazaaron takdire badal te hai. 
05/ 04/ 07

----------------------------------------------------------------

In guzarte waqt ke pan-nno mein
Jo dhunda apni kahani
Paya ke kore kagaaz pe
Do bund gira tha paani.
Siha-yi se likhe the jo afsaane
Kuch dhul se gaye the yaado se
Jo kaid tha man ke bhitar
N(a) ho saka ban-yaan alfazon mein.
Hisaab rakha tha jo sanjhon ke
Kho gaya dard ki gehrai-yon mein
Zameen se jo uthe naye daur mein
Gum se rahe roshan rahon pe
Koi lauta de who aan, ye sun zara
Dekha tha jo bite zamaane mein.


-----------------------------------------------------


Lauta de, ye waqt, wo guzra zamana
Diwaron ko chuti haathon mein churiyon ka khanak-na
Bhagte kadmon mein, payal ki cham-cham
Aag si tapti do premiyon ka Milan.
Wo thandak, barish ki pehli bundon ka
Woh kushbu, phagun ke phulon sa
Sarsarahat, pat-jhar ke patton ka
Sangeet si gunj-ti pha-wa-ron ki khanak.
Us roshni mein nahayee chandni raat ka
Ek jhalak lauta de meri yaadon se.
Guzar ja ye shaam, ek aur baar
Mere dayaaron se.
Beth mere paas, kar de yeh ehsaa(n)
Phir likh ja aakhri lafz
Tere mere afsaane ke.


-----------------------------------------------------------------


Ek khwab dekha ese
zindaagi simat gayee
jo neend se jage
tamam umr guzar gayee

10/01/07

--------------------------------------------------------------


zer-e-lab pe hai jo, hayaa hai hamari
jhuki palkon mein chupa rakha hai mohabbat tumhari.

23/06/2007

--------------------------------------------------------


Khubsurat ek kavita ki tarha,
suna gaya jo khhud hi samajh na saka;
Sunaye apni katha jahan,
milte nahi hai shabd wahan!

26/07/07


--------------------------------------------------------------


sang beith khudse jo karne lagein guftagu,
shabd aur khayal mein faasla na raha;
lekin kyun terii mehfil mein bande
har shaks bezubaan ayaa

03/08/07


--------------------------------------------------------

Hai khuda ki kya tujhe zaroorat, tu aap hi insaan haie bande!

11/09/07


----------------------------------------------


Ho falak ya zamin.
Ruh ko nahin hai bandish.
Yeh awara musafir hai.
Har pal milti-badlti hai jiski manzil.

25/09/07


---------------------------------------------


Kuchh wo kahe
kuchh hum kahe
ek hasrat rah gayee
dil ke the itne kareeb
judaii gum na de saki

15/10/2008

------------------------------------------------


 Wo ajnabee ko jo dekhte the roz
ek khwaeesh thii kii iltejah yeh kare
ek bar aankhon ki chahat ko
lafzoin mein kuchh bayaan kare

15/10/2008

---------------------------------------------

N[a] jane kaun raaste mile
kaun mein bichchre
magar har mor pe
manzil ko pa liye.

Nilanjana Som
15/10/2008

17. mazak achcha tha.... apne haq pe
taaj-poshi kisi aur ka dekhe
hum dekhe to 'bande' kya dekhe
tamasha humara khamoshee se dekhe.......

01/04/2008

-------------------------------------------------


18. 'BAHANA'

Ab aaye to aaye
maut bhii n[a] aaye
kii zindagi ko bhi hum se
mohabbat nahii hai.
shikayat hai hum pe aitbaar nahii haii.
koii gum n[a] kare 'bande' pe yaaron
kii hum ko bhi unkii
zaroorat nahii hai

01/04/2008


-------------------------------------------------------


Zindagii guzre tanha hi guzre
rahm-o-karam ke mohtaz nahii
tere saath ke liye parchayee ko chore
itne bhi hum, be-gairat nahi.........

01/04/2008


-----------------------------------------------------


Ram-Rahim Ek Hi Hai Re 'Bande'
Ye Duniya Dhokha, Khub De Chali
Hum Se Puche Ye Khuda Ke Bande
Insaan Rahna Aab Mumkinn Nahi

28/06/2009


-----------------------------------------------------------


Iss Tarah Dhokha Khaya
Ki Muskurahat Se Chipa Na Sake
Hum Chale The Apnane Ye 'Bande'
Iman Jinke The Ruthe Huye
Khaiir Afsos Nahi Unke Jane Ka
Ki Ek Aur Aitbar Pe Bharosa Karne Hum Chale..

28/06/2009

-----------------------------------------------


hum toh jhoom te hai khud ke hi nashe mein,
mehfil mein tum ne yunn hi badnam kiya

June 2009


--------------------------------------------


khoya toh jana, [jo] pane ki aas na thi; bande ko wo hi fakir kar gaya...

24th June 2010



----------------------------------------


gar mein kaafir
tu mutassim
mere mandir mein boot apna bana gaya
khair mauji hai "bande"
ibadaat tera bhi karlenge hum


27th July 2011
2145 hrs

mutassim - faithful (to God)


-----------------------------------------------------


har har mein Har hai
Har hai har chitwan 
Har nache har har main
Him se thande har shav par;
samay ka mrig har har se aage
kaal ka damru har har ko bandhe
mora Har har har bhaitha
har ka ant hai Har ke bhitar

19th September 2013 


--------------------------------------------------


Hai hasratein khud ko khone ki, ekk baar maazi ko doobne... 
Magar kinare pe baithe doobe bhi to kaise, 
bheed main khud ko khoye bhi toh kaise



-------------------------------------------------------------



Qadam Qadam baṛae jaa {Pt. Vanshidhar Shukla}
tu Hind ko mitaye jaa
ye zindagi hai DHARM kee
tu Boot pe Hind lutaye jaa//

tu sher-e-quam aage baṛ
maarne se kabhi n[a] daṛ
Uṛaake hum-wat(a)no kaa saṛ
josh-e-quam baṛae jaa.

Watan mein hon agar hum {Iqbal}
rehtaa hai dil pathar mein...
Samjho wahin hamein bhi
Maut jahan tumhara ho//

Yūnān o-Miṣr o-Rūmā
Sab miṭ ga'e jahaṉ se
Ab mit ke rahega,
NAaM [O}-nishaan (sa) hamaaraa.

kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke? {Sahir Ludhianvia}
jinhe naaz hai hind par VO kahaaN haiN?
yahaaN peer bhii mit chuke haiN jawaaN bhi
Unka dum-saaz apnay siwa kaun hai? {Faiz Ahmed Faiz}
zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao {Sahir Ludhianvia}
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
jinheN naaz hai hind par unako laao
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN kahaaN haiN kahaaN haiN?

Chashm-e-nam, jaan-e-shoreeda kafi nahin {Faiz Ahmed Faiz}
Tohmat-e-ishq-e-Hind kafi nahin
aaj bazaar main pa-bajolan chalo
Khak bar sar chalo, khoon badaman chalo
Rakht-e-dil bandh lo, dil figaro chalo
Phir hameen qatl ho aain yaro chalo

Nilanjana Som
10th April 2014


----------------------------------

saji dhaji sej pe dulhan bhi lajaaye, paap rahe mann me toh, Girdhar ko kya paye??
More Girdhar [jow] mura-li bajaye, man nach nach na theh-raye
Kaun dekhe kaun bateeya-ye, sudh-budh reh na paye
Ek [tori] muskaan se jeevan jaage jaye
Toke kahe Chitchor kahe hai, [aaj] bujh hum paye

13/05/2014; 1230


------------------------------------


why do you hold on to bosom
I have not changed the garb
the old has withered away
you and I have walked miles away
we will now meet at the end...

1st April 2015